Singer : Jubin Nautiyal
Music : Meet Bros
Lyrics : Meet Bros
Label : T-Series
Duration : 04:25
Release : Aug, 10 2021
Downloads : 92011
Provider : Vlcmusic https://vlcmusic.com/track/41059/bewafa-tera-muskurana-mp3-download-by-jubin-nautiyal.htmlMujhse takra gaye baad muddat ke woh Mujhse takra gaye baad muddat ke woh Aur pehle ke jaise nasha chha gaya Jisko dafna ke rakha tha dil mein kahin Phir mere saamne woh sama chha gaya Aankh tirchhi huyi lab hile iss tarah Khud ba khud mere hothon pe sher aa gaya Bewafa tera bewafa tera Bewafa tera yoon muskurana Jaise kuchh bhi hua hi nahi hai Bewafa tera yoon muskurana Jaise kuchh bhi hua hi nahi hai Zakhm toone jo mujhko diye hain Dard ab tak gaya hi nahi hai Teri tasveer maine jala di Apni takdeer khud hi mita di Tu mujhe jab kabhi yaad aaya Dil ne sau sau dafa bad-dua di Khwaab se bhi tujhe bedakhal kar diya Chhod ke main tujhe badi door aa gaya Bewafa honge Bewafa honge lakhon hazaron Koyi kamzarf tujh sa nahi hai Dil ko ab mere hosh aa gaya hai Pehle jaisa sharabi nahi hai Bewafa tera yoon muskurana Jaise kuchh bhi hua hi nahi hai Mohabbat ke tarazon mein Wafa kamzor thi teri Andheron se tumhare Bach saki na roshni meri Jise maana khuda maine Usi ne dil mera toda Mujhe dhokha diya aisa Kahin ka bhi nahi chhoda Phir kabhi na kisi se lagaunga dil Yeh sabak mujhko lutne ke baad aa gaya Bewafa mera haan bewafa mera Bewafa mera kaatil hai tu yeh Tujhko ab tak pata hi nahi hai Yeh bhi sach hai ki yeh baat maine Tujhko ab tak batai nahi hai Bewafa tera yoon muskurana Jaise kuchh bhi hua hi nahi hai Kabhi kabhi mohabbat mein aisa hota hai Saansein chalti rehti hain Par waqt thehra sa hota haiProvider : Vlcmusic https://vlcmusic.com/track/41059/bewafa-tera-muskurana-mp3-download-by-jubin-nautiyal.htmlRead More Read Less